Powered by Blogger.
RSS
Showing posts with label Yaad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Yaad Poetry. Show all posts
Post Icon

Love Poetry In Urdu Vol-1

Usay Kaho Zara Kam Rootha Karay Yeh Zindgi Itni Taveel Nhi.


Usay Kaho Zara Kam Rootha Karay Yeh Zindgi Itni Taveel Nhi,
Be Aitbaar Si Mouat Hai Na Jany Kab Aajaye...!!!





Main Aksar Tumhari Yadon Me Gum Ho Jati Hon.


Main Aksar Tumhari Yadon Me Gum Ho Jati Hon,
Main Aksar Main Nahi Rehti Tum Ho Jati Hon...!!!



Aey Dil Thori Si Himmat Kar Na!


Aey Dil Thori Si Himmat Kar Na!
Dono Mil Kar Usay Bhool Jate Hain...!!!


Khaak Mutthi Mein Liye Qabar Ki Yeh Sochti Hon.


Khaak Mutthi Mein Liye Qabar Ki Yeh Sochti Hon
Insan Jo Martey Hain To Gharoor Kahan Jata Hai...!!!


Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha Raat Ko.


Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha Raat Ko,
Lay Jaonga Mutthi Me Kisi Roz Chupa Kar...!!!


Hai Yeh Mumkin Ke Talab Gah-E-Muhabbat Me.


Hai Yeh Mumkin Ke Talab Gah-E-Muhabbat Me
Kabhi Dil Ki Gehrayee Se Tu Ne Mujhe Chaaha Hi Na Ho,

Umrr Bhar Saath Rahain Saath Jeeyain Saath Marain
In Duaon Ke Liye Haath Uthaya Hi Na Ho...???


Tuje Kya Khabar Mere Humnawaa Tere Samne Mera Haal Hai.


Tuje Kya Khabar Mere Humnawaa Tere Samne Mera Haal Hai,
Teri Ek Nigah Ki Baat Hai Meri Zindagi Ka Sawaal Hai...!!!


Mujh Ko Kuch Na De Nahi Kuch Bhi Nahi Chaahiey Ab.


Mujh Ko Kuch Na De Nahi Kuch Bhi Nahi Chaahiey Ab
"Bus"
Us Ki Khwaish
Poori Kar De,
Jo Duaaon Me,
Sadaaon Me,
Mujhe Hi Maangta Hai...!!!


Main Mar Jaun To Mera DiL NikaL Kar Meray Dost Ko De Dena.


Main Mar Jaun To Mera DiL NikaL Kar Meray Dost Ko De Dena,
Main Nhi Chahta Mere Marne Ke Baad Woh Khelna Chor De...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Urdu Ghazals Collection Vol-1



Koi Ghazal Teray Naam Na Ho Jaye
Aaj Likhtay Likhtay Shaam Na Ho Jaye,

Kar Rahai Hon Intzaar Tere Izhar-E-Mohabbat Ka
Is Intzar Me Zindagi Tamaam Na Ho Jaye,

Nahe Leti Tera Naam Sar-E-Aam Is Dar Se
Kahin Tera Naam Badnam Na Ho Jaye,

Mangti Hon Jab Bhi Duaa To Yaad Ata Hai
Ke Judai Meray Piyar Ka Anjaam Na Ho jaye,

Sochti Hon To Darti Hon Aksar Tanhai Me
Us Ke Dil Me Kisi Aur Ka Maqaam Na Ho Jaye...!!! 





Sakoot-E-Qarb Me Utro To Yaad Kar Lena
Kabhi Jo Toot Ke Bikhro To Yaad Kar Lena,

Khushi Ke Waqat Me Chahay Humain Bhula Dena
Ghamon Ki Raah Jo Dekho To Yaad Kar Lena,


Gawa Na Dena Kahin Umar Pashemaani Me
Khud Apne Aap Se Uljho To Yaad Kar Lena,

Mana Tum Guftugu Ke Maahir Ho
Wafa Ke Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena...!!!





Woh Pyaar Ka Sabot Dikhaya Karte Thy
Aansu Baha Ke Humain Manaya Karte Thy,

Is Zindagi Me Sirf Aap Se Wasta Hai
Woh Aksar Hamain Batlaya Karte Thy,

Tab Zindagi Me Sony Ki Fursat Kise Thi
Woh Humain Saari Raat Jagaya Karte Thy,

Bechaini Jab Had Se Ziyada Bardh Jati Thi
Tab Woh Jee Bhar Ke Galy Se Lagaya Karte Thy,

Woh Muhabbat Karne Wale Badal Gaye
Jo Har Baat Par “Meri Kasam” Khaya Karte Tht...!!!





Mousam Hay Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hay
Barish Ke Har Qatre Se Aawaz Tumhari Aati Hay,

Badal Jab Garajty Hain Dil Ki Dharkan Bharhti Hay
Dil Ki HarEk Dharkan Se Aawaz Tumhari Aati Hay,

Jab Tez Hawayain Chalti Hain To Jaan Humari Jati Hay
Mousam Hay Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hay...!!!

Please Share Your Comments About These Ghazals Thanks.


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Urdu Love Shayari With Images


Baith Ke Tanha Udaas Raaton Me Yeh Sochti Rehti Hoon,
Zindagi Khatam Ho Rahi Hai Wafa Ki Talash Karte Karte...!!!




Theek Hi Kehta Tha Mere Muqadar Ka Sitara,
Tu Muhabbat Kare Gi To Main Gardish Kron Ga...!!!




Ab To Baarishon Me Bhi Us Ko Meri Yaad Nahi Aati,

Woh Jo Baadal Ke Garajney Se Lipat Jata Tha Mujhse...!!!





Kabhi Shokh Hain Kabhi Gum Si Hain,
Yeh Baarishain Bhi Tum Si Hain...!!!




Ek Arsy se Yeh Ankhe Soi Nhi,
Hansi Nahi,
Roi Nahi,
Mili Nahi,
Khoi Nahi,

Ek Baat Thi Dil Me Jo Aap Se Kabhi
Kahi Nahi,
Ki Nahi,
Ke Aap Jaisa
Koi Nahi
Koi Nahi...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Yaadon Ka Bandhan Tornaa Itna Aasan Nahi Hai



Yaadon Ka Bandhan Tornaa Itna Aasan Nahi Hai,

Kuch Log Dilon Me Bass Jatey Hain Lahoo Ki Tarhaa...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Jugnu Ko Qaid Kar Ke Muskaraya Na Karo



Jugnu Ko Qaid Kar Ke Muskaraya Na Karo
Roshni Ki Khatir Kisi Ka Dil Jalaya Na Karo,

Sitam Karna Hai Karo Par Itna Na Karo!
Yaad Nahi Karsakte To Yaad Aaya Na Karo...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS