Powered by Blogger.
RSS
Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts
Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts
Post Icon

Urdu Hindi and English Roman Poetry Shayari Vol-1

We Presenting You a new Version of Poetry/Shayari in Three Different Languages Urdu, Hindi and English Roman with very Emotional Images you Must Like it...



English Roman.
Hum Ne Socha Thaa Dil Jalaa Dalain,
Phir Khayaal Aaya Is Me Tu Bhi Hai...!!

،ہم نے سوچا تھا دل جلا ڈالیں 
!!!...پھر خیال آیا اس میں تو بھی ہے 
हिन्दी.
हम ने सोचा था दिल जला डालें,
फिर ख़याल आया इस में तू भी है...!!!





English Roman.
Woh Ishaare Me Samajhta Hi Nahi Baaton Ko,
Main Kahaan Tak Usay Har Baat Dobaara Likhoon...!!!


،وہ ۱شارے میں سمجاتےہی نہیں باتوں کو
!!!...میں کہاں تک اسے ہر بات دوبارہ لکھوں
हिन्दी.
वो इशारे मैं समझता ही नही बातों को,
मैं कहाँ तक उसे हर बात दोबारा लिखूं...!!!






English Roman.
Ajab Halaat Hain Dil Ke,
Na Tum Mere Na Main Apna...!!!


،عجب حالات ہیں دل کے 
!!!...نہ تم میرے نہ میں اپنا 
हिन्दी.
अजब हालात हैं दिल के,
ना तुम मेरे ना मैं अपना...!!!





English Roman.
Bhool Jana Bhi Usay Yaad Bhi Karte Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Me Bikharte Rehna...!!!


،بھول جانا بھی اسے یاد بھی کرتے رہنا 
!!!...اچّھا لگتا ہے اسی دھن میں بکھرتے رہنا

हिन्दी.
भूल जाना भी उसे याद भी करते रेहना,
अच्छा लगता है इसी धुन में बिखरते रेहना...!!!





English Roman.
Ab Kon Se Mausam Se Koi Aas Lagain,
Barsaat Me Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aaye...!!!


،اب کون سے موسم سے کوی آس لگاۓ 
!!!....برسات میں بھی یاد نہ جب ان کو ہم آۓ 

हिन्दी.
अब कोन से मोसम से कोई आस लगाये,
बरसात में भी याद ना जब उन को हम आये...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Southern Gothic The Poem

Southern Gothic The Poem..


Southern Gothic

When the rain comes, the only voice
to call me in is my own. I know I’m alone now.
My feet churn red mud,

I slog through the clay earth-slog through
my southern blood, groping for traction. I think
God made my crooked face from this clay.

The pines’ branches bow but each wooded
intersection maps a cross. The jagged architecture
of magnolia leaves slice water as it falls, framed

silhouettes are locked in spider moss.
The silhouette of his smile, the taste of him
still on the tip of my tongue-a word, his name

briefly forgotten. At the creek the cicadas
had split the air with their song after waiting
seventeen years to open themselves.


I waited seventeen to open myself
to that moment. He cupped my cheek,
kissed me and whispered Let’s do this again.

I found the ring he lost in the thick of it,
took it from the muddy bank and placed
it into the palm of his hand, smooth and cool

as a rain drop. The rain drops collecting
in my brow now. He departed quick
as a voice lost on storm wind.

The trees’ arches close in. The crows,
watching in rows on the buttresses, don’t speak.

I’m dumb enough to keep my silence, too...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Ashkoan Ki Barsaat De Gaya Woh Jaate Jaate



Ashkoan Ki Barsaat De Gaya Woh Jaate Jaate
Aahon Ki Saughat De Gaya, Woh Jaate Jaate,

Dil Ne Chaha Tha sath rahenge Umar Bhar
Aarzuon Ki Bouchhar De Gaya, Woh Jaate Jaate,

Barhayaa Jo Khadam Mainy Use Chhony Ke Liye
Raahon Me Kaanty Bikher Gaya Woh Jaate Jaate,

Lari Thi Main Duniya Se Jiski Khatir
Hami Par War Kar Gaya, Woh Jaate Jaate...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Urdu Ghazals Collection Vol-1



Koi Ghazal Teray Naam Na Ho Jaye
Aaj Likhtay Likhtay Shaam Na Ho Jaye,

Kar Rahai Hon Intzaar Tere Izhar-E-Mohabbat Ka
Is Intzar Me Zindagi Tamaam Na Ho Jaye,

Nahe Leti Tera Naam Sar-E-Aam Is Dar Se
Kahin Tera Naam Badnam Na Ho Jaye,

Mangti Hon Jab Bhi Duaa To Yaad Ata Hai
Ke Judai Meray Piyar Ka Anjaam Na Ho jaye,

Sochti Hon To Darti Hon Aksar Tanhai Me
Us Ke Dil Me Kisi Aur Ka Maqaam Na Ho Jaye...!!! 





Sakoot-E-Qarb Me Utro To Yaad Kar Lena
Kabhi Jo Toot Ke Bikhro To Yaad Kar Lena,

Khushi Ke Waqat Me Chahay Humain Bhula Dena
Ghamon Ki Raah Jo Dekho To Yaad Kar Lena,


Gawa Na Dena Kahin Umar Pashemaani Me
Khud Apne Aap Se Uljho To Yaad Kar Lena,

Mana Tum Guftugu Ke Maahir Ho
Wafa Ke Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena...!!!





Woh Pyaar Ka Sabot Dikhaya Karte Thy
Aansu Baha Ke Humain Manaya Karte Thy,

Is Zindagi Me Sirf Aap Se Wasta Hai
Woh Aksar Hamain Batlaya Karte Thy,

Tab Zindagi Me Sony Ki Fursat Kise Thi
Woh Humain Saari Raat Jagaya Karte Thy,

Bechaini Jab Had Se Ziyada Bardh Jati Thi
Tab Woh Jee Bhar Ke Galy Se Lagaya Karte Thy,

Woh Muhabbat Karne Wale Badal Gaye
Jo Har Baat Par “Meri Kasam” Khaya Karte Tht...!!!





Mousam Hay Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hay
Barish Ke Har Qatre Se Aawaz Tumhari Aati Hay,

Badal Jab Garajty Hain Dil Ki Dharkan Bharhti Hay
Dil Ki HarEk Dharkan Se Aawaz Tumhari Aati Hay,

Jab Tez Hawayain Chalti Hain To Jaan Humari Jati Hay
Mousam Hay Barish Ka Or Yaad Tumhari Aati Hay...!!!

Please Share Your Comments About These Ghazals Thanks.


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS
Post Icon

Urdu Love Shayari With Images


Baith Ke Tanha Udaas Raaton Me Yeh Sochti Rehti Hoon,
Zindagi Khatam Ho Rahi Hai Wafa Ki Talash Karte Karte...!!!




Theek Hi Kehta Tha Mere Muqadar Ka Sitara,
Tu Muhabbat Kare Gi To Main Gardish Kron Ga...!!!




Ab To Baarishon Me Bhi Us Ko Meri Yaad Nahi Aati,

Woh Jo Baadal Ke Garajney Se Lipat Jata Tha Mujhse...!!!





Kabhi Shokh Hain Kabhi Gum Si Hain,
Yeh Baarishain Bhi Tum Si Hain...!!!




Ek Arsy se Yeh Ankhe Soi Nhi,
Hansi Nahi,
Roi Nahi,
Mili Nahi,
Khoi Nahi,

Ek Baat Thi Dil Me Jo Aap Se Kabhi
Kahi Nahi,
Ki Nahi,
Ke Aap Jaisa
Koi Nahi
Koi Nahi...!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS